Jun 28, 2011

Ek Khwab

Raat phir khuwaab main aa kar mujhse

Meri ammi ne kuch sawaal kiye
Usse pahley mujhey duaa ye di
Khuda karey ke tu sau saal jiye
Unki aankhon main mohobbat bhi thi,

Afsos bhi tha

Ek aanso bhi tha un aankhon main
Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha
Mujhse poocha ke betey kaisey ho
Koi diqqat to nahin hai tumko

Phir kaha!!!!

Tumko maloom hai kya
Main bari takleef main hoon
Jab se laiti hoon so nahin payee
Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee

Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain
Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain

Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi
Merey samjhaney main kami thi kya
Ya meri tarbiyat adhoori thi
Kyon burey kaam roz kartey ho

Kyon nahin us khuda se dartey ho
Jisney tumko ye jaan bakshi hai
Jisney tumko amaan bakshi hai
Laut kar jiske paas jaana hai

Kya usey munh nahin dikhana hai
Kya tumhein is liye padaya tha
Kya tumhein yehi sab sikhaya tha
Ki apney ilm par Guroor karo

Apney nafs ko masroor karo

Jab bhi bolo to bas galat bolo
Zulm dekho to lab nahi kholo
Chhor kar deen bhool kar mazhab
Apni auqaat note main taulo

Sach batao ki kya ye qissa hai ?

Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai
Mujhko afsos nahin ke tu mujhey bhool gaya
Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya

Main to Jee key bhi roz marti hoon
Main tujhey roz yaad karti hoon
Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney
Uskey anjaam se main darti hoon


Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye
Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye
Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka
Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka