Mar 31, 2011

mujhey kuch kehna hey

Assalam o alaikum warahmatuLahi wabarakatuhu
Mujhey yad hey jab mujhey cricket ho ya politics bal k life ki bhi itni samajh nahin thi , main or dad ek sath tv per badey zoq o shoq se match dekh rahey they , Imran Khan , Wasim Akram , Javed Miandad etc yahi teen nam yad hotey they us waqt , 1992 world cup ka final match tha , ham donon main ek ajab hi jazba tha , ek room main , bas main or dad , pakistani player ki achi karkardagi par dad apni khushi ka izhar bachon ki tarah kartey howey main unhen dekhta , or sach kahon to ek qudrati wo jazba or khushi main bhi feel karta , match pakistan kesey jeeta ye to mujhey nahin yad , but itna yad hey k jab Pakistan wo match jeeta to maine or dad ne us ko poorey mohalley k sath celebrate kia , dad ki khushi deedni thi , wo pholey nahin sama rahey they , or main bas tv main imran khan ko dekh raha tha ,..
  waqt guzarta gaya life samajh aney lagi , 1996 ka world cup main bhi ab cricket main deewangi mehsoos karney laga tha , school se ghar atey hi tv on ker k beth jaya karta , her jeet ko celebrate kerta , or har main udasi . pakistan ki team main telent ki kabhi koi kami nahin rahi , hamesha best se best players pakistni team ko miley .. but ahista ahista pata lagney laga k ab ye game, game nahin , ye bhi ek profession ban gaya hey jahan just paisa hey , or ham awam ki koi haisiat nahin , players ki baten un k qol just awam ka g behlaney k lye hotey hen .. 1999 worldcup k final ne to dil hi tod k rakh dya or ye yaqeen ho gaya k match k nataij pehley se hi tai ho chukey hotey hen ... cricket se nahin professional cricket se nafrat c ho gai .. but kia karen hen to Pakistani hi na . watan ki  kamyabi hamari kamyabi , but watan k lye to ab sirf jan deney k lye awam hi reh gay hen , tabqat ban gay hen pakistan main , ek wo tabqa jis k hath main power or paisa hey , ek wo tabqa jis k hath main paisa hey , ek wo tabqa jis k hath main na power hey na paisa , or ye akhri tabqa ki wajah se aj pakistan qaim o daim hey or InshaAllah hamesah rahega ..
kia wajah hey k ye akhri tabqa thoda hosh k nakhun nahin leta .. power or paisa ki race main lagey insanon ki chikni chapdi baton main kar hamehsa nuqsan uthata hey , power or paisa waley log is tabqey ko salon se koi khushi nahin de sakey ,
ek din to sara pakistan khushi se jhoom utha jab ek mard ne dunya ki an suntey howey chaghi ki pahadion se dunya ko paigham dya k ham Zinda Qom hen .. lekin us k kuch hi arsey bad usi mard ko dunya ne guthney tektey dekha . or pakistan k Ghayyor sipeh salaron , jin ki jan ham senkdon awam se bhi qeemti thi , unehn shaheed karwatey dekha . us mard ne zara bhi na socha k kal to main is dunya se takraney ki bat kar raha tha ab is Qom k ghussey ko kesey qaboo karonga ? but usey pata tha ham bewaqoof hen , us ki misal ham aj bhi dekh saktey hen ,
well bat kahan ki kahan chali gai .. han to bat ho rahi thi cricket ki .. pata hey kal maine apney dad ko call ki .. merey dad dunya k sab se best dad hen .. Love u dad .. Allah ap ka saya hamesha hamrey saron per qaim rakhey .. maine dad se kaha ''dad Pakistan to har gaya '' dad ne kaha beta''ye world cup india ka hey or ye bat maine world cup ki ibtida main kahi thi '' ye merey dad they jo kabhi Pakistan ki jeetney par khusyan manaya kartey they or har per un ki udasi ham se nahin dekhi jati thi ...
or sirf merey dad hi ki nahin ye udasi ... i cann feel every pakistani is feeling sad .. aj se akhbarat main kai tarah k tajzye sunney or padhney ko milengy .. koi kahega match fix tha koi kahega ye ho gaya wo ho gaya .. btu the fact is ''PAKISTAN HAR GAYA""

Regards
M Shaheer Shuja

Mar 19, 2011

Allah hi sab ka madadgar hey

Qura'an main ALLAH fermata hey …

وأطيعوا الله وأطيعوا الرسول

Allah or us k Rasool ki ita'at karo…




 (115)tum
par sirf murdar khoon or khinzeer ka gosht or jis per ALLAH k siwa
doosron ka nam pukara jay haram hey .phir agar koi shakhs be bas kar dya
jay na wo khuwahish mand ho or na had se guzarney wala ho , to yaqeenan
Allah bakhshney wala or rehem karney wala hey

(soorat al Nahl: ayat 115)

Mazeed ( sorat al baqarah :ayat 173 --soorat al  ma'edah :ayat 3--soorat al An'am: ayat 145)


(51)Allah
irshad farma chukka hey k do maabood na banao , maabood to sirf wo
akela hey , pas tum sab sirf mera hi dar khof rakho.



(52) asmanon aur zameen main jo kuch hey sab isi ka hey or isi ki ibadat lazim hey , kia tum us k siwa oron se dartey ho,


(53)tumharey
pas jitni bhi naimaten hen sab usi ki di hoi hen ab bhi jab tumhen koi
mussebat pesh ajay to usi se nala o faryad kartey ho,



(54) or jahan us ne wo museebat tum se door kar di, tum main se kuch log apney Rab k sath shareek karney lag jatey hen


(55) k hamari naimaton ki na shukri karen, acha kuch faida utha lo , akhir kar tumhen maloom ho hi jay ga .


(56)aur
jisey jantey booohjtey bhi nahin , us ka hissa hamri di hoi naimaton
main se muqarrar kartey hen , WALLAH ( Qasam) tumharey is bohtan ka
sawal tum se zaroor hi kia jay ga 


(ayat 51-56:soorat al Nahl)

Mazeed (soorah saaffat ayat 9—soorah al zumr : ayat 2-3)

 
(73)
or wo ALLAH k siwa un ki ibadat kartey hen jo asmanon or zameen se
unhen kuch bhi to rozi nahin de saktey , or na kuch qudrat rakhtey hen ,
(74) pas Allah k lye misalen mat banao, Allah khoob janta hey or tum
nahin jantey .


(soorat al Nahl: ayat 73)


Soorat al A'araf ayat 194----Waqai tum Allah ko chor kar jin ki ibadat kartey ho wo bhi tum hi jesey bandey hen , so tum un ko pukaro phir un ko chahye k tumhara kehna karden agar tum sachey ho..

Soorat Younus : ayat 106 ----or Allah ko chor kar aisi cheez ki ibadat mat karna jo tujh ko na koi nafa pohoncha sakey na koi zarar pohoncha sakey - phir agar aisa kia to tum is halat main zalimon main se ho jao gay ...

(107) or agar tum ko Allah koi takleef pohonchana chahey to bajuz Allah k or koi us ko door karney wala nahin, or agar wo tum ko koi khair phonchana chahey to us k fazal ka koi hataney wala nahin , wo apna fazal apney bandon se jis par chahey nichawar kardey or wo badi maghfirat or badi rehmat wala hey ...

awla
e kiram Rehmat ul Lah alaih ki buzurgi un ki ibadat un ki wilayat
..ALLAH qubool o maqbool farmay ... merey doston un Azeem hazrat ki
zindagi se seekhney k bajay un k kirdar ko mat bigado  ,,,, unhone
to apni hayat main kabhi aisi bidat ka irtikab nahin kia ...phir tum ne
kesey Un Azeem hazrat k sath ye bida'at mansoob karlin ??

Ishq Ka Mtlab Ma'ashooq ki khushnoodi hasil karna hey .. us ki farman bardari kerna hey na k us k sikhay howey usolon ko juhtlana ....

Allah yahdeeh