Nov 30, 2010

Shirk O Bida'at or ALLAH ki wahdaniyat (Quraan ki roo se)

sab ta'areefen ALLAH k lye hen jo tamam jahanon ka palney wala hey..(soorat:1,ayat:1)

------------------------------------------------------- ---------------------------------

ham sirf teri hi ibadat kartey hen or sirf tujh hi se madad chahtey hen .(soorat:1 , ayat:5)

------------------------------------------------------- ----------------------------------
jab merey bandey merey barey main AP(Nabi Kareem S.A.W) se sawal karen to Ap(Nabi
Kareem S.A.W) keh dijye k main(ALLAH) bohot qareeb hon, her pukarney
waley ki pukar ko jab bhi wo mujhey pukarey qubool karta hon, isi lye
logon ko bhi chahye k wo meri(ALLAH) bat man lya karen or mujh(ALLAH)
per eeman rakhen, yahi un ki bhalai ka bais hey (soorat:2.ayat:186)


------------------------------------------------------- -----------------------------------
aye Nabi kaho k na to main(Nabi Kareem S.A.W) tum se ye kehta hon k merey pas ALLAH k khazaney hen or na main(Nabi Kareem S.A.W) ghaib janta hon , or na main(Nabi Kareem S.A.W) tum se ye kehta hon k main farishta hon.main to sirf jo kuch merey pas wahi ati hey us ka ittiba'a karta hon, ap kahye k andha or beena kahin barabar ho sakta hey , so kia tum ghor nahin kartey
.(soorat:6,ayat:50)


Ittiba'a
: yani merey pas ALLAH k khazaney bhi nahin hen ( mean k har tarah ki qudrat o taqat)
k main tumhen ALLAh k uzn o mashiyat k baghair koi aisa bada mo'ojaza
sadir kar k dikha doon k tumhen meri sadaqat ka ilm ho jay , or merey
pas ghaib ka ilm bhi nahin k mustaqbil main pesh aney waley waqiat se
tumhen muttali'e kar don, mujhey farishta honey ka da'awa bhi nahin k
tum mujhey aisey kharq adat umoor par majboor karo jo insani taqat se
balatar hon. main to sirf us wahi ka pero hon jo mujh per nazil hoti he
or is main hadith bhi sahmil he ..

jesa k ap(S.A.W) ne farmaya... أوتيت القران ومثله معهmean mujhey Qura'an k sath is ka misl bhi da gaya hey jesey k hadith e Rasool(S.A.W)

andha o beena:
ye istifham Inkar k lye hen ya'ani
k andha or beena , gumrah or hidayat yafta or momin or kafir barabar nahin ho saktey ..

------------------------------------------------------- ----------------------------
Ap
farma dijye k main khud apni zat khas k lye kisi nafa'a ka ikhtyar
nahin rakhta or na kisi zarar ka , magar itna hi k jitna ALLAh ne chaha
ho or agar main ghaib ki baten janta hota to main bohot se munafi'e
hasil kar leta or koi nuqsan mujh ko na pohonchta , main to mahaz
daraney wala or basharat deney wala hon un logon k lye jo eeman rakhtey
hen
(soorat:7, ayat:188)
ye ayat is bat main kitni wazih heyk Nabi Kareem(S.A.W) alim ul ghaib nahin . alim ul ghaib sirf ALLAH ki zat hey.

Halan
k ba'az jangon main Ap(S.A.W) k dandan e mubarak bhi shaheed howey
Ap(S.A.W) ka chehra e mubarak bhi zakhmi howa,  or Ap.S.A.W ne farmaya
k ye qom kesey falah pa sakti hey jis ne apney Nabi Kareem S.A.W k sir
ko zakhmi kia.


Hazrat Ayesha siddiqah(Radhya ALLAH u anha) per tohmat lagi to Nabi Kareem S.A.W sakht muztarib rahey .....
ek yahoodi orat ne Nabi Kareem S.A.W k  khaney main zehre mila dya or (Nabi Kareem S.A.W) ne tanawul bhi farmaya..

------------------------------------------------------- --------------------------------

Ap
keh dijye k main tum jesa hi ek insan hon, han meri janib wahi ki jati
hey k sab ka Ma'abood sirf ek hi hey, to jisey bhi apney perwardigar se
milney ki arzoo ho usey chahye k nain a'amal karey or apney parwardigar
ki ibadat main kisi ko bhi shareek na karey.(sorat:18.ayat:110)
amal
salih wo hey jo sunnat k mutabiq ho , ya'ani joapney RAb ki mulaqat ka
yaqeen rakhta he, usey chahye k har amal sunnat k mutabiq karey. or
doosrey , ALLAh ki ibadat main kisi ko shareek na karey (dua bhi ibadat hey) is lye k bid'at or shirk donon hi habt a'amal ka sabab hen..ALLAh in donon se haemn mehfoos farmay ameen

------------------------------------------------------- -------------------------------

wo
rat ko din or din ko rat main dakhil krta hey or aftab o mahtab ko isi
kam p lagaya howa hey , har ek mi'aad mo'ayyan par chal rahey hen, yahi
hey ALLAh tum sab ka palney wala usi ki saltanat chal rahi hey. jinhen
tum us k siwa pukar rahey ho ! wo to khajoor ki guthli k chilkey k bhi
malik nahin hen .(13)
agar tu unhen pukaro to wo tumhari pukar sunte
hi nahin , or agar (bilfarz) sun bhi len to faryad rasi nahin karengey
, bal k qayamat k din tumharey is shirk ka saf inkar kar jaingey, ap ko
koi bhi ALLAH jesa khabardar khabren na dega(sorat:35, ayat13-14)

------------------------------------------------------- ------------------------------
Ap
keh dijye ! k main koi bilkul anokha paighambar to nahin, na mujhey ye
maloom hey k merey or tumhary sath kia kia jay ga, main to sirf  Us ki
pairwi karta hon jo meri taraf wahi bheji jati hen or main to sirf alal
e'lan agah karney wala hon(soorat:46,ayat:9)

------------------------------------------------------- -------------------------------

Hazrat Anas (ra) kehtay hain k Jab qehet prta, Umer-bin-Khattab(ra)
Hazrat Abbas(ra) -ibne-Abdulmutlb k waseelay se baarish ki dua krtay
aur kehtay:


"Ay hamaray Allah! ham teri taraf apnay Nabi(peace be upon him) ka
waseela ikhtiyaar krtay thay (yani un ki zindagi main un say dua
krwaatay thay). Aur Tu hamein seraab krta tha. Ab (Aap (peace e pon
him) ki wafaat k baad) teri taraf apnay Nabi(peace be upon him) k
chacha ka waseela ikhtiyaar krtay hain (Yani un se dua krwaatay hain)
ps tu ham ko paani pila." Anas-bin-Maalik(ra) kehtay hain "Ps wo seraab
kiyay jaatay thay"
.

<Sahih Bukhari , Hadeeth 1010>



ALLAH ham sab ko rah e hidayat p chalay or
har har qadam per hamari madad farmay ...behsak Ya RAb teri madad k
baghair ham kuch nahi

Reagards

No comments:

Post a Comment