Ham ne jab tak apney aqdar ko apney sath rakha ham dunya main sab se agay rahey ...hamari ek taweel tareekh hey ...jis se sari dunya ne istifadah kia ... ham ne sari dunya per apna bol bala kia...ye izzat hamen apney ISLAMI aqdar ne bakhshi .... or phir jab jab ham ne apney aqdar se nata toda hamen us ki saza mili ..ham agar 20wen sadi main nazar dalen to tab bhi ham main kuch ghairat baqi thi ...
dunya main hamesha se do Qomen rahi hen ... Muslims n Non-Muslims.... non-muslims main sab ajatey hen ...wo bazahir ap k ham nawa ho saktey hen ...lekin asal main wo kabhi ap k nahin ho saktey ..jis ki hazaron misalen ap k ird gird hen.... wo quwaten hamesha isi tak main rehti hen k islam ko kis tarah taraj kia jay ..... tareekh per nazar dalen to islamic saltanten tab hi gharaq hoin jab jab Islamis Umara Dunya ki asaishon main gahraq howey or un ko asani sey dushman fatah kartey rahey....
phir dunya main democracy nizam raij howa(jo k darhaqeqat hey nahin)... jis ki wajah bhi bazahir yahi dikhti hey k her saltanat per achi tarah se nigah rakhi ja sakey ...or waqt padney per har tarah ki mudakhlat bhi ki ja sakey....
is ka faida non muslim anasir to khoob utha rahey hen but Muslims ne is ka kahin se faida nahin uthaya siway chand ek koshishon k jo mazi qareeb main chand hukumranon ki janib se ki gain ..... bal k kisi qism ka bhi nuqsan jo ham utha saktey they ham ne uthay or utha rahey hen ... or seena thok ker utha rahey hen...
well... ham musalman hamesha se sadah looh rahey hen ..ham jitna bhi maddi chezon main traqqi kar len apni rohanyat kahin bhi apney ap se nahin juda kar saktey .... or ye rohanyat ham main ek alag ghairat ujagar karti hey... jesey Mo'otasim billah ek maan ki sada sun ker hindustan kood pada tha.... isi tarah ek aam musalman ye kabhi nahin chahey ga k us ki behen betti ya man per kisi ki bhi nazar tak pad jay baqi baten door ... but zamaney k sath chalney k lye aj ye bhi gawarah hey.....
or ye bhi kisi muashrey ki taraqqi ka raz hey ...k us muashrey ki MOTHERS apni OLAD ki best parwarish karen .... so Islam k pas dunya ki best Mothers THIN ...or islam ko hamesha badey badey naam mitley rahey ..... kabhi mazi e qareeb se ...... ibn e Qasim... ibn e zyad.. ghaznawi...ghori, fatih e Bait ul Muqaddas Salahuddin ayoobi, sultan mohammad fatih, zangi,..... phir or qareeb ain to .... sir sayed ..... se le ker dr ataULLAh shah bukhari jinhon ne qadyaniat ko pakistan main achi trah se sarayyat karney se bachaya , werna aj mirza yat ne pakistan ko deemak ki trah kha jana tha....
To non-muslims ne is qeemti moti is azeem hasti ko nishana banaya or kam shroo ho gaya... is k lye sab se pehley unhon ne apney muashrey ki Mothers ko sar e aam ... be izzat kia ..or us be iizati o be ghairti ko be hayai p unhen medals o awards dye janey lagey or wo is bat main fakhr mehsoos karney lagin....is sey unhen nahin nuqsan ho sakta tha ..un ki apni nafsani khuwahishat ka bhi taqaza tha....
phir is ne mazeed traqqi ki or ye mashriq ki taraf pesh qadmi ki ...jis k lye unhon ne kandha use kia INDIA ka ...aaj ham indian dramey or movies badey shoq se dekhtey hen ....
kia koi sachey dil se batay ga ?... k koi bhi indian movie ap ko or hamen koi bhi acha message deti ho siwai behayai k ....un movies main muashrey main be hayai ko azadi ka mesage hota hey or yahi her movie ka climax hota hey....
aaj pakistan main bhi do tabqey hen .... ek apney ap ko modern kehta hey ... apni ghairat ko marney ki na mumkin koshish kerta hey ...dil dil main kudhta hey .. apni man behen beti ko is tarah se be Aorat kr k ... but usey liberal kehlana he ...modern kehlana hey.... taraqi yafta kehlana hey.... aj hamari behnen apni manzil kho chuki hen .... HAYA jo kabhi hamri behnon ka zewar hoa karta tha ....aaj wo hi un k lye daqyanoosi shey ban gayi hey...
aaj ham main zyadah tar behnon k dil main ye khwahish nahin hogi k wo Islam ko ek azeem sapoot de saken .... us ki prorites badal gai hen ...jsi wajah se aaj hamara muashrarh tabahi ka shiakr hey.....
Napilion ne kaha tha ''' if U give Me a good mother , i will give u a good Nation''
gay sharbat k din yaron k agey ab to aye Akbar...
kabhi soda , kabhi whisky , kabhi tea hey...
akbar ne ek or jagah kia khoob kaha
kya kahoon iss ko main badbakHti-e-nation kay siwa
iss ko aata nahin ab kuchh imitation kay siwa
kHabar deti hai tahreek-e-hawa tabdeel-e-mausam ki
khilenge aur hi gul, zamzame bulbul kay kam honge
Anas (RA) narrated: Allah's Messenger (saw) said, "Every Deen has a distinctive quality, and the distinctive quality of Islam is Modesty."
No comments:
Post a Comment